Monday, November 8, 2010

Dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab

Hoti hai tere nam se wehshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi

ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi

dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath
ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi

tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud
mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabh

No comments:

Post a Comment